EARN MONEY ONLINE IN INDIA: April 2015

Friday, April 17, 2015

Business ko other countries tak kaise pahuchaye


Business karna koi asaan kaam nahi hain ,kyuki business me bhut kam chances hote hai success pane ke, ya aisa keh lete hain ki business me wohi jeet sakta hain jise mehnat karne me koi alash nahi aata hain, aalshi logo ke liye business nahi bana hain, business me kafi mehnat karni padti hain, wahi jo log business karte hain to unka kahi na kahi ek sapna hota hain ki wo apne business ko other countries tak bhi pahuchaye, matab ki apne business ko videsho tak bhi phuchaye, but wo aisa isliye nahi kar paate kyuki other country me business pahuchane k liye unke pas itna paisa nahi hota hain, isliye kafi sare log yeh sochna hi band kar dete hain, per agar mai kahu ki aap yeh sab sochna band mat kariye aap videsho tak apne business ko asani se pahucha sakte hain to aapko yakin nahi hoga, aaj mai apko btata hu ki kaise aap apne business ko other countries tak pahucha sakte hain, wahi yeh trick un logo ke liye bhi jinka business sahi mukaam tak nahi pahuch paa rha hain, kahi na kahi unko haar ka samna karna padta hain, to aaiye janiye kaise aap apne business ko bada skte hain.


Dosto aaj e-commerce platform itna grow kar rha hain ki aap log bhi uska faida utha sakte hain, aapne FLIPKART, AMAZON, SNAPDEAL,EBAY in sites ka nam to suna hi hoga, aap in sites ki help se apne business ko kafi uchaiye tak pahucha sakte hain, maine inke bare me apne pichle post me bta diya hain aap use padkar jankari hasil kar skte hain>>> BUSINESS KO AAGE KAISE BADAYE. aajka topic hain business ko other countries tak kaise pahuchaye, to iske liye apka help EBAY.COM nam ki site kar skti hain, apka koi bhi business ho aap apne product ko ebay per List karke kahi bhi bech skte hain. EBAY aap logo ko all over the world me business karne ka platform provide karta hain, aapko yha register hone k liye kisi bhi tareh ki document ki jarurat nahi padnegi, but jaise jaise apka business aage badenga or apke pas orders aane ki sankiya badti jayengi tab apko TIN, VAT ki jarurt padengi, so agar koi business start karna chahta h to uske liye ebay ek acchi jagh hain, india k kafi sare sellers hain jo aaj pure world me apne product ko bech rhe hain, ebay per business start karne ke liye aapko yha ek seller ka account kholna padta hain uske bad ebay team aapki puri help karti hain ki aapko kaise apna business start karna hain or kaise apne products ko yha list karna hain, agar apki english acchi nahi hain to bhi aap ebay per kaam kar skte hain, ebay apki help hindi me bhi karta hain, to sochiye mat agar aap business ko videsh tak pahuchana chahte hain to aapko abhi ebay k customer care number per call karna hain aur waha se sari jaankari hasil karni hain. ebay customer care number: 18002093229

dosto aapko meri yeh post kaisi lagi please mujhe comment karke jarur btaiye thanks.